Search This Blog

Monday, January 31, 2011

Faisla bhi us ka tha


 Manzilein bhi us ki thi, Rasta bhi us ka tha,
Ek main akela tha Kaafilaa bhi us ka tha,
Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha,
Aaj kyun akela hun Dil sawal karta hai,
Log to usi ke the Par kya khuda bhi us ka tha,
Har raasta bhi us ka tha, har fiasla bhi us ka tha..
Log bhi usi ke the shayad khuda bhi us ka tha…
Aur kya karun bayan, apni barbadiyon ka aalam..
Ki Jo AB sawal karta hai..ye dil mera bhi to usi ka tha..

No comments:

Post a Comment